Monday, 10 December 2007

Aaj hum dekh rahe hain unki taraf.........

Aaj hum dekh rahe hain unki taraf.........

Woh dekh rahen hai kisi aur ki taraf........


Waqt yahan kisi ka intezaar nahi karta

Kya maloom zindagi le jaye kiski taraf..........


Unke waham ka koi ilaz nahi duniya main

Ki saara jamana jhukta hai unki taraf..............



Beeta hua kal aaj kabhi nahi aayega

Jab zindagi dekhati thi hamari taraf................


Ikraar karte to shayad naaz bhi uthate

Bekraar hoke chalte tumhari taraf................


Kya soch liya ki is berukhi ke karan

Zindagi andheri ho jayegi har taraf ..............



Koi aaya koi gaya yahan kisko khabar

Yahan roshni ki umeeden hain har taraf........


Koi pachhtayega apni nadaniyon pe

Kisi ki zindagi jagmagayegi charo taraf...........


Ye Aadayen Yeh jalwe apne pas hi rakhiye

ke chaahne wale hain sab taraf...................

No comments: